dil tod kar wo dil mein pashiman hua to kya ek be-niyaz-e-naz pe ehsan hua to kya apna ilaj-e-tangi-e-dil wo na kar sake mera ilaj-e-tangi-e-daman hua to kya jab baal-o-par hi nazr-e-qafas ho ke rah gae sehn-e-chaman mein shor-e-bahaaran hua to kya ek umr rakh ke ruh meri tishna-e-nashat ab naghma-e-hayat par-afshan hua to kya jab mere waste dar-e-mai-khana band hai sahba mein gharq aalam-e-imkan hua to kya tute pade hain saz-e-mohabbat ke tar tar ab shahid-e-khayal ghazal-khwan hua to kya aadam ne ek khosha-e-gandum ko kya kiya mujrim kabhi jo bhuk se insan hua to kya 'wamiq' ki tira-bakhti ka aalam wahi raha zulmat-kade mein chashma-e-haiwan hua to kya