kabhi jab dastan-e-gardish-e-ayyam likhta hun to phir unwan ki surat mein apna nam likhta hun kabhi aaghaz likhta hun kabhi anjam likhta hun asiran-e-mohabbat ki jo subh-o-sham likhta hun jalane lagti hai jab shiddat-e-tishna-labi mujh ko teri aankhon ko mai-khana nazar ko jam likhta hun kisi par kis liye tohmat rakhun khana-kharabi ki main apne nam barbaadi ke sab ilzam likhta hun mohabbat ke taqaddus ko kabhi pamal mat karna mohabbat ka yahi paigham sab ke nam likhta hun mukhatab hone lagti hai khud apni zindagi mujh se 'wali' jab bhi main sharah-e-gardish-e-ayyam likhta hun