kuchh zindagi mein lutf ka saman nahin raha

kuchh zindagi mein lutf ka saman nahin raha
dil aisa bujh gaya koi arman nahin raha

wo josh-e-be-khudi ka hai aalam ki aaj-kal
zindan mein hum nahin hain ki zindan nahin raha

wo dil hi kya khalish hi na ho jis mein dard ki
wo gul hi kya jo zinat-e-daman nahin raha

har inqalab waqt ke sanche mein dhal gaya
markaz pe apne ab koi insan nahin raha

har ek apna khun piye ja raha hai aaj
insan is zamane mein insan nahin raha

hoti hai ab tarannum-e-dilkash pe wah wah
bazm-e-sukhan mein koi sukhan-dan nahin raha

laya hai us ko khinch ke shauq-e-adab yahan
'faizi' kabhi bhi dad ka khwahan nahin raha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close