dohraun kya fasana-e-khwab-o-khayal ko guzre kai firaq kisi ke visal ko rishta ba-juz-guman na tha zindagi se kuchh main ne faqat qayas kiya mah o sal ko shayad wo sang-dil ho kabhi mail-e-karam surat na de yaqin ki is ehtimal ko targhib ka hai wusat-e-imkan pe inhisar ram-khurdagi sikhata hai sahra ghazal ko 'sahba' sada bahaar hai ye gulsitan-e-fan mumkin nahin zawal sukhan ke kamal ko