donon ka la-shuur hai itna mila hua us ne jo pi sharab to mujh ko nasha hua kis ki hai dhul mere tasawwuf ke panw mein kya hai ye khanqah ke dar par pada hua paida kiya dobara mujhe us ke jism ne main jo bara-e-wasl gaya tha mara hua duniya ki har namaz ka mujh ko mila sawab masjid ka andarun hai mujh par khula hua ye bhi mere charagh-e-khamoshi ka faiz hai chaaron taraf hai shor hawa ka macha hua us ne padhi namaz to main ne sharab pi donon ko lutf ye hai barabar nasha hua dekha nahin kabhi na mulaqat hi hui 'ehsas'-ji ka nam hai lekin suna hua