zalim pe azab ho gaya hun main roz-e-hisab ho gaya hun har lafz mera hai ek ghaw zakhmon ki kitab ho gaya hun main khud mein simat ke tha samundar phaila to habab ho gaya hun khud apni talash kar raha tha dekha to sarab ho gaya hun yun uth gaya etibar-e-hasti main khud koi khwab ho gaya hun mitti hui yun kharab meri sahra ka jawab ho gaya hun