dukan-e-mai-farosh pe gar aae mohtasib

dukan-e-mai-farosh pe gar aae mohtasib
din id ke to khub ghada jae mohtasib

ai charkh-e-fitna-gar ye rawa hai ki har baras
sahba-kashon pe baj ki thahrae mohtasib

maston ne sangsar kya us ko bar-ha
lekin gaya na us pe bhi sauda-e-mohtasib

hathon se us ke shisha-e-dil chur hai mera
ya-rab kiye ki apne saza pae mohtasib

ye ku-e-mai-farosh mein raula hua ki raat
dahshat se wan thahar na saka pa-e-mohtasib

mast-e-sharab-e-ishq ko bazar-e-dahr mein
zinhaar bim-e-shahna na parwa-e-mohtasib

kuchh de ke rishwat us ko tu pi 'mushafi' sharab
sab zar ke waste hai ye ghaugha-e-mohtasib


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close