ek main hun ek tu hai ba-khabar koi nahin hath mein de hath apna sar-ba-sar koi nahin sham mushfiq hai qarib aa dard ka darman karen raat ke sahra mein apna chaara-gar koi nahin ret ke sine pe rah rah kar chamak uthta hai kuchh ab ba-juz ek naqsh-e-pa ke rahbar koi nahin mod ke baen taraf hai sang andazon ka shahr dil sa aaina na le ja shishagar koi nahin jaane ye aaseb hai kis ki sada ka dar-ba-dar main yahan hun main yahan hun dida-war koi nahin dhundte phirte ho kis ko chand ki mashal liye zindagi ek fasla hai muntazar koi nahin