ek andhi dauD thi ukta gaya tha

ek andhi daud thi ukta gaya tha
main khud hi saf se bahar aa gaya tha

na dil bazar mein us ka laga phir
jise ghar ka pata yaad aa gaya tha

faqat ab ret ki chadar bichhi hai
suna hai us taraf dariya gaya tha

usi ne rah dikhlai jahan ko
jo apni rah par tanha gaya tha

mujhe jalna pada majbur ho kar
andhera is qadar gahra gaya tha

koi taswir ashkon se bana kar
fasil-e-shahr par chipka gaya tha

samajh aakhir mein aaya wahima tha
jo kuchh ab tak suna samjha gaya tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close