mujhe baghban se gila ye hai ki chaman se be-khabari rahi ki hai nakhl-e-gul ka to zikr kya koi shakh tak na hari rahi mera haal dekh ke saqiya koi baada-khwar na pi saka tere jam khali na ho sake meri chashm-e-tar na bhari rahi main qafas ko tod ke kya karun mujhe raat din ye khayal hai ye bahaar bhi yun hi jaegi jo yahi shikasta-pari rahi mujhe alam tere jamal ka na khabar hai tere jalal ki ye kalim jaane ki tur par teri kaisi jalwagari rahi main azal se aaya to kya mila jo main jaunga to milega kya meri jab bhi dar-ba-dari rahi meri ab bhi dar-ba-dari rahi yahi sochta hun shab-e-alam ki na aae wo to hua hai kya wahan ja saki na meri fughan ki fughan ki be-asari rahi shab-e-wada wo jo na aa sake to 'qamar' kahunga ye charkh se tere tare bhi gae raegan teri chandni bhi dhari rahi