tamam wahshaten meri badha ke chhod gaya wo mujh ko sahra mein dariya dikha ke chhod gaya hawa bhi parda hilae to ho guman us ka wo jate jate yun parda hila ke chhod gaya koi batae ki kaise guzara ho apna hamein jahan mein wo achchha bana ke chhod gaya wafa-parast kahun ya ki bewafa us ko ajib shakhs tha wada nibha ke chhod gaya kal ek khwab jo aaya tha meri aankhon mein tumhaare shahr ka naqsha bana ke chhod gaya