hai dard mein dubi hui tahrir ki aawaz wijdan ko chhu leti hai taswir ki aawaz tanhai mein aankhon se nikal aate hain aansu goya hai faza mein kisi dil-gir ki aawaz diwana-e-hasti ke liye ek hain donon pazeb ki jhankar ki shamshir ki aawaz yaad aaya hai jab saneha zindan-e-bala ka ubhri dar-o-diwar se zanjir ki aawaz lag jati hai jab rah-e-pur-asrar mein thokar hum us ko samajh lete hain taqdir ki aawaz takhrib-pasandon ne wo tufan uthaya is shor mein kho jae na tamir ki aawaz naghmon ka asar hota hai arbab-e-tarab par 'nazir' ko rula deti hai zanjir ki aawaz