har ek bandish-e-KHud-saKHta bayan se uTha

har ek bandish-e-khud-sakhta bayan se utha
takallufat ka parda bhi darmiyan se utha

faqat khala hi nahin hai sada lagate chalo
ki abr-e-barish-e-naisan bhi aasman se utha

shajar ke sae mein baitha hun main tujhe kya hai
jo ho sake to mujhe apne aastan se utha

fusun-taraaz thi kab chashm-e-nim-wa itni
lahu ka fitna magar zeb-e-dastan se utha

nazar na aai jo rah-e-mafar to phir main bhi
dhuan dhuan sa sar-e-bazm-e-dostan se utha

yahan ki rasm hai 'sahba' kasad-bazari
ye jins-e-dil hai badi be-baha dukan se utha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close