hamein nit asir-e-bala chahta hai hamari khushi kab khuda chahta hai shab o roz roya karen khun aankhen yahi to wo rang-e-hina chahta hai wo karta hai apne hi ji mein burai kisi ka koi gar bura chahta hai dila baith rah rakh ke dandan jigar par tawakkul ka gar tu maza chahta hai ise aap se dhyan aane ka tere wo gul tujh ko baad-e-saba chahta hai mere ustukhan se bhi hai us ko nafrat mare faqa kar ke huma chahta hai nahin khwahish us ki khuli hum pe ab tak wo kya mangta hai wo kya chahta hai magar ye ki in rozon phir 'mushafi' ko tere gham mein sauda hua chahta hai