hamesha dhup dekhi saeban mein hai talkhi is liye mere bayan mein rahe naqsh-e-qadam mere numayan hua shamil main jab se karwan mein ilahi khair ho ab gulistan ki bahaaren aa rahi hain gulistan mein hue hain munjamid jab se anasir hain tab se mubtala hum imtihan mein andheron ke makinon se ye kah do ujale hain 'sharar' ki dastan mein