har ek yaqin ko hum ne guman bana diya hai the jis zamin pe use aasman bana diya hai hum aise khana-kharabon se aur kya banta kisi se silsila-e-rabt-e-jaan bana diya hai hamare sher hamare khayal kuchh yun hain khala mein jaise kisi ne makan bana diya hai mohabbaton ke aminon ki hain wo aawazen ki jin ko khalq ne shor-e-sagan bana diya hai zamin to puri tarah hum bhi dekh sakte hain falak ko is ne magar be-karan bana diya hai