har lamha sairabi ki arzani hai

har lamha sairabi ki arzani hai
mitti ke kuze mein thanda pani hai

chupke chupke rota hai tanhai mein
wo jo shahr ke har mele ka bani hai

nadi kinare shahr panahen baalon ki
sawan ki bauchhaaren hain tughyani hai

bahar dhup samundar surkh bagule bhi
andar har khuliye mein rut barfani hai

us ne har zarre ko tilism-abaad kiya
hath hamare lagi faqat hairani hai

mere dasht ko shayad us ne dekh liya
dhup shabnami har-su manzar dhani hai

jaane kya barsa tha raat charaghon se
bhor samay suraj bhi pani pani hai

us ne har lamha khud ko yun ram kiya
har paikar mein us ki ram-kahani hai

kachcha ghar aata hai yaad bahut 'amabar'
kahne ko shahron mein har aasani hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close