KHud apne aap se hum be-KHabar se guzre hain

khud apne aap se hum be-khabar se guzre hain
khabar kahan ki teri rahguzar se guzre hain

nafas nafas hai moattar nazar nazar shadab
ki jaise aaj wo khwab-e-sahar se guzre hain

na puchh kitne gul-o-nastaran ka rup liye
bahaar-e-nau ke taqaze nazar se guzre hain

bahaar-e-khuld ba-har-gam sath sath rahi
tere khayal mein khoe jidhar se guzre hain

aman mili bhi jo un ko to tere daman mein
wo karwan jo meri chashm-e-tar se guzre hain

dilon pe chhod gae naqsh apni yaadon ka
tumhaare dard ke mare jidhar se guzre hain

hasin ho tum ki tumhaari koi misal nahin
hasin yun to hazaron nazar se guzre hain

'hamid' puchh na aashob-e-dahr ka aalam
hazar fitna-e-mahshar nazar se guzre hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close