haram kahta hai kuchh dair-e-butan kuchh aur kahta hai tariq-e-manzil-e-waraftgan kuchh aur kahta hai har ek se un ka wahshi dastan kuchh aur kahta hai nahin hota jahan koi wahan kuchh aur kahta hai amir-e-karwan kya hai khuda-e-karwan hum the magar ab to ghubar-e-karwan kuchh aur kahta hai har ek jalwe mein ek parda har ek parda mein ek jalwa ba-har-surat sahab-e-darmiyan kuchh aur kahta hai janab-e-shaikh ke lab par khuda ka nam aata hai subuhi-kash magar waqt-e-azan kuchh aur kahta hai ye mana jannat-e-husn-e-nazar thi zindagi apni magar khamyaza-e-umr-e-rawan kuchh aur kahta hai meri hasti ka har zarra hai gunjaish-talab ab tak ki pa kar wusat-e-kaun-o-makan kuchh aur kahta hai qafas mein lakh saman-e-tarab sayyaad hai lekin mera nala ba-nam-e-ashiyan kuchh aur kahta hai nahin hoti hai hujjat khatm tanha aab-o-dana par are sayyaad asir-e-be-zaban kuchh aur kahta hai utari ja rahi hain qaidiyon ki bediyan lekin nishan-e-halqa-e-tauq-e-garan kuchh aur kahta hai ajab uljhan mein dala tu ne o munh pherne wale ki dil kuchh aur kahta hai guman kuchh aur kahta hai mera har ek sajda muntazir hai qaul-e-faisal ka jabin kuchh kah rahi hai aastan kuchh aur kahta hai kalam-e-'mir'-o-'mirza' qabil-e-sad-naz hai 'afqar' magar 'momin' ka andaz-e-bayan kuchh aur kahta hai