hath se aakhir chhut pada patthar jo uthaya tha kya karta mujrim bhi to khud apna saya tha aisa hota kash kahin kuchh rang bhi mil jate us ne mere khwabon ka khaka to banaya tha ab tu bhi bahar aa ja yun jism mein chhupna kya parda hi karna tha to kyun mujh ko bulaya tha aaj ke mausam se be-sudh kuchh log kafan chehra ab tak sahme baithe hain tufan kal aaya tha ji chahe to aur bhi ruk le palkon ki chhanw mein main ne to tujh ko waqt ka bas ehsas dilaya tha roz sawere virana bachta hai 'faraaz' aakhir hum ne raat bhi khwabon mein ek shahr sajaya tha