jun bhi jo rengne nahin deti thi kan par

jun bhi jo rengne nahin deti thi kan par
kalak laga ke chhod gai khandan par

mail hain zehn-o-fikr jo unchi udan par
yun panw hain zamin pe nazar aasman par

aaram se hain unchi imaraat ke makin
patthar baras rahe hain shikasta-makan par

arzan-farosh par nahin uthti nazar koi
rahti hai bhid shahr ki mahngi dukan par

jaise badan mein jaan hi baqi nahin rahi
mahsus ho raha hai safar ki takan par

biphre samundaron pe barasta chala gaya
aaya na abr dhup mein tapte makan par

dil reza reza hai to jigar hai lahu lahu
kaisi bani hui hai mohabbat ki jaan par

han rahrawo milegi tumhein manzil-e-hayat
chalte raho hamare qadam ke nishan par

khuddari-e-jamal gawara na kar saki
us ne masal ke phenk diya phul lawn par

'baghi' bhatak raha hun main sahra-e-shauq mein
kya naqsh us ne likh ke khilaya tha pan par


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close