hisar-e-dil se udhar bhi haqiqaten hain bahut tere baghair bhi jine ki suraten hain hain tere ghurur ko hum se shikayaten hain baja hum aadmi hain hamein past aadaten hain bahut jo teri tarz-e-jafa se hamara haal hua zaban pe laen ye us mein qabahaten hain bahut agar hai bais-e-wahshat tujhe hamara junun hamein bhi teri ada se shikayaten hain bahut ghalat ki milne mein hai fasle ka khauf tujhe ki aaj-kal to safar mein sahulaten hain bahut mujhe to chhod gaya rah mein to thik hua ki pa-shikasta tha main aur masafaten hain bahut zaban khol ke is bazm mein kharab hue sawal ek tha lekin wazahaten hain bahut kise sunen to karen kis se hum gurez ki yan har ek zaban pe ghamon ki hikayaten hain bahut hamein azab-e-qayamat ka koi khauf nahin ki is se badh ke jahan mein qayamaten hain bahut mile ye log to kyun aur log kyun na mile jawab koi nahin hai bujhaarten hain bahut nahin hai aaj ki tanhaiyon se haul hamein ki dil pe naqsh jawani ki suraten hain bahut kis ehtiyat se ai 'arsh' us ko sarf karen mata-e-umr hai kam aur chahaten hain bahut