hum ghar hi mein rahte to tamasha to na hote

hum ghar hi mein rahte to tamasha to na hote
yun kushta-e-be-dad-e-zamana to na hote

gham-e-dil pe shikast-e-talab-e-jaan ka hai bhaari
mit jate tag-o-taz mein paspa to na hote

kho jate kisi baadiya-e-haft-bala mein
khilqat mein magar randa-e-duniya to na hote

duniya se jo rakhte kabhi duniya se rawabit
apne hi zamane mein yun tanha to na hote

ho rahte haram ke to jiye jate sukun se
badnam-e-rah-e-dair-o-kalisa to na hote

aawara-mizaji ki saza khub thi lekin
pa-basta-e-khak-e-lab-e-dariya to na hote

jite hain to sab khul gae ausaf jahan par
mar jate to achchha tha ki ruswa to na hote

uncha jo utha rakhte alam apni ana ka
aala na sahi arsh pe adna to na hote


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close