hogi is dher imarat ki kahani kuchh to dhund alfaz ke malbe mein maani kuchh to log kahte hain ki tu mujh ko bura kahta hai main bhi sun lun tere honton ki zabani kuchh to barf ne karb ki patwar ko bhi tod diya dil ke dariya ko ata kar de rawani kuchh to bhul baithe hain wo bachpan ke fasane lekin yaad hogi unhen pariyon ki kahani kuchh to naqsh-e-pa tak bhi na chhodegi hawa hai pagal kaun jaanib mujhe jaana hai nishani kuchh to tere ehsas mein shole hain ye mana 'shahpar' sirf rasmi hi sahi barf-bayani kuchh to