hum had-e-indimal se bhi gae

hum had-e-indimal se bhi gae
ab fareb-e-khayal se bhi gae

dil pe tala zaban par pahra
yani ab arz-e-haal se bhi gae

jam-e-jam ki talash le dubi
apne jam-e-sifal se bhi gae

khauf-e-kam-maegi bura ho tera
aarzu-e-visal se bhi gae

shorish-e-zindagi tamam hui
gardish-e-mah-o-sal se bhi gae

yun mite hum ki ab zawal nahin
shauq-e-auj-e-kamal se bhi gae

hum ne chaha tha teri chaal chalen
hae hum apni chaal se bhi gae

husn-e-farda khayal-o-khwab raha
aur mazi o haal se bhi gae

hum tahi-dast waqf-e-gham hain wahi
tang-na-e-sawal se bhi gae

sajda bhi 'arsh' un ko kar dekha
is rah-e-paemal se bhi gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close