ifsha hue asrar-e-junun jama-dari se chhape gae akhbar meri be-khabari se dam nak mein aaya hai ab is nauhagari se dil pak gaya ai aah teri be-asari se kya din hain jo gul khilte hain shoale hain dahakte lu chalti hai baghon mein nasim-e-sahari se sone ke niwalon se na kar parwarish-e-ruh itni bhi mohabbat nahin karte safari se kab ahl-e-duwal se hui mabud-parasti baatil hai agar sajda karen taj-e-zari se har haal mein rahti hai khuda par nazar apni ye martaba hasil hai hamein be-hunari se maghrur na ho chand se rukhsar par apne ye qumquma raushan hai charagh-e-sahari se tu wo hai shah-e-husn agar baj talab ho le hur se guldasta tabaq shah-e-pari se munh chadhte hain bad-asl tamiz un ko nahin hai danton se ladi silk-e-guhar bad-guhari se aankhon se nikalwaiye aankhen hirnon ki chiton ki kamar todiye nazuk-kamari se naubat to kahin qatl-e-gunahgar ki aai naqqare bajaunga mein tiron ki sari se pusht-e-lab-e-shaffaf se joban hai mison ka sabze ne numu ki hai aqiq-e-shajari se piri mein bhi hum se na hui khana-nashini baz aae na bazmon se na guzre guzri se qad tir sa talwar tawazoa se hua hai wo hath uthate nahin be-dad-gari se jab chaho chale aao ye wada nahin achchha dil aankh churaata hai bahut muntazari se ab zof-e-junun kucha-e-jaanan mein baha de kab tak ye waram panw par aashufta-sari se wo chot kaleje mein lagi hai ki na puchho tadpunga tah-e-khak bhi dard-e-jigari se rone ka na le nam gham-e-yar mein ai 'bahr' ulte na zamane ka waraq lab ki tari se