imtihan zabt ka phir bazm-e-gah-e-naz mein hai

imtihan zabt ka phir bazm-e-gah-e-naz mein hai
jalwa-e-tur nigah-e-ghalat-andaz mein hai

ahl-e-dil dida-e-tar dekh ke pahchan gae
main samajhta tha meri baat abhi raaz mein hai

aashiyane ko nahin barq-nawazi se panah
ek hi lutf wahi soz mein hai saz mein hai

mere mitne ka karen sog kisi ke dushman
kyun udasi si kisi jalwa-gah-e-naz mein hai

jaan-e-naghma hai mere tute hue dil ki sada
ek yahi tar-e-shikasta hai jo har saz mein hai

gul-o-bulbul se adawat nahin 'kaifi' lekin
kyun hun bezar chaman se ye abhi raaz mein hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close