ishq se paida nawa-e-zindagi mein zer-o-bam

ishq se paida nawa-e-zindagi mein zer-o-bam
ishq se mitti ki taswiron mein soz-e-dam-ba-dam

aadmi ke reshe reshe mein sama jata hai ishq
shakh-e-gul mein jis tarah baad-e-sahar-gahi ka nam

apne raaziq ko na pahchane to muhtaj-e-muluk
aur pahchane to hain tere gada dara o jam

dil ki aazadi shahanshahi shikam saman-e-maut
faisla tera tere hathon mein hai dil ya shikam

ai musalman apne dil se puchh mulla se na puchh
ho gaya allah ke bandon se kyun khali haram


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close