isMein koi fareb to ai aasman nahin

is mein koi fareb to ai aasman nahin
bijli wahan giri hai jahan aashiyan nahin

sayyaad main asir kahun kis se haal-e-dil
sirf ek tu hai wo bhi mera ham-zaban nahin

tum ne diya hamari wafaon ka kya jawab
ye hum wahan bataenge tum ko yahan nahin

sajde jo but-kade mein kiye meri kya khata
tum ne kabhi kaha ye mera aastan nahin

gum-karda rah ki kahin mitti na ho kharab
gard us taraf udi hai jidhar karwan nahin

kyun sham-e-intizar bujhate ho ai 'qamar'
nale hain ye kisi ke sahar ki azan nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close