ye zindagi nae manzar dikha rahi hai mujhe

ye zindagi nae manzar dikha rahi hai mujhe
khizan hai aakhiri mausam bata rahi hai mujhe

hansa rahi hai kabhi ye rula rahi hai mujhe
ghazal meri hi kahani suna rahi hai mujhe

wo ek shai jo ki sine mein hai kahin maujud
kisi ke hukm pe pal pal chala rahi hai mujhe

ye ittifaq nahin hain koi dua hai jo
yun hadson se musalsal bacha rahi hai mujhe

tu buzdili na samajh ye hi to sharafat hai
mere lahu ki nafasat jhuka rahi hai mujhe

jo ek lahr bhanwar ke thi aas pas kahin
wo dhire dhire kinare laga rahi hai mujhe

baghair us ke thi mumkin kahan rihai meri
ye maut aa ke bala se chhuda rahi hai mujhe

nae libas mein lipta hua hun aur ye zamin
mere wajud ki qimat bata rahi hai mujhe

ye tez dhup ye sahraon ka safar 'rukhsar'
yahi tapish hai jo kundan bana rahi hai mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close