itna sukun to gham-e-pinhan mein aa gaya

itna sukun to gham-e-pinhan mein aa gaya
aaghosh-e-dil se daman-e-mizhgan mein aa gaya

dil ashk ban ke dida-e-giryan mein aa gaya
khurshid jaise rauzan-e-zindan mein aa gaya

mujh ko to rang-o-bu mein ulajhne se tha gurez
main ne ye kya kiya ki gulistan mein aa gaya

aks-e-jamal-e-yar ba-tadrij-e-zauq-e-did
aankhon se dil mein dil se rag-e-jaan mein aa gaya

phir mere apne aap mein rahne ka kya sawal
jab wo mere harim-e-dil-o-jaan mein aa gaya

marham ka nam le ke na zakhmon ko chhediye
marham bhala kahan se namak-dan mein aa gaya

wahshat-asar faza hai na diwar-o-dar yahan
be-kar hi main ghar se bayaban mein aa gaya

'akhgar' junun-e-ishq-e-nawardi kidhar gaya
majnun to mere khana-e-viran mein aa gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close