jalwon ka jo tere koi pyasa nazar aaya

jalwon ka jo tere koi pyasa nazar aaya
wo zat mein apni hamein dariya nazar aaya

zad par jo nigahon ki wo chehra nazar aaya
kuchh rang-e-haya aur nikharta nazar aaya

ye husn-e-taghazzul ka karishma nazar aaya
wo jaan-e-ghazal sher sarapa nazar aaya

ek silsila-e-la-mutanahi tha gham-e-ishq
arman se arman nikalta nazar aaya

rashk-e-mah-o-khurshid wo mitti ka diya tha
jo rukh pe hawaon ke bhi jalta nazar aaya

main ne to kabhi aap ko tanha nahin dekha
main aap ko mahfil mein bhi tanha nazar aaya

dil mera bhar aaya ba-gham-e-tark-e-mohabbat
khali tha magar jam chhalakta nazar aaya

parde pe jami rah gain khamosh nigahen
yun bhi pas-e-parda tera chehra nazar aaya

mujh par to jami thin teri mahfil ki nigahen
main wo tha ki mahfil mein bhi tanha nazar aaya

saqi ne mujhe khas nigahon se jo dekha
shoala sa mere jam se uthta nazar aaya

ek dushman-e-iman se ho ummid-e-wafa kya
kab dasht mein diwar ka saya nazar aaya

khush-rang hua aur teri yaad ka manzar
palkon pe agar koi sitara nazar aaya

suli pe chadha koi koi tur pe pahuncha
'akhgar' tere kuche se guzarta nazar aaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close