jaane aaya tha kyun makan se main

jaane aaya tha kyun makan se main
kya kharidunga is dukan se main

ho gaya apni hi ana se halak
dab gaya apni hi chatan se main

ek rangin si baghawat par
kat gaya sare khandan se main

roz baaton ke tir chhodta hun
apne ajdad ki kaman se main

mangta hun kabhi laraz ke dua
kabhi ladta hun aasman se main

ai mere dost thak na jaun kahin
teri aawaz ki takan se main

darta rahta hun khud bhi 'azhar'-khan
apne andar ke is pathan se main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close