jab tak safed aandhi ke jhonke chale na the

jab tak safed aandhi ke jhonke chale na the
itne ghane darakhton se patte gire na the

izhaar par to pahle bhi pabandiyan na thin
lekin badon ke samne hum bolte na the

un ke bhi apne khwab the apni zaruraten
ham-sae ka magar wo gala katte na the

pahle bhi log milte the lekin talluqat
angdai ki tarah to kabhi tutte na the

pakke gharon ne nind bhi aankhon ki chhin li
kachche gharon mein raat ko hum jagte na the

rahte the dastanon ke mahaul mein magar
kya log the ki jhut kabhi bolte na the

'azhar' wo maktabon ke padhe mo'atabar the log
baisakhiyon pe sirf sanad ki khade na the


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close