jab dil mein tere gham ne hasrat ki bina dali duniya meri rahat ki qismat ne mita dali ab barq-e-nasheman ko har shakh se kya matlab jis shakh ko taka tha wo shakh jala dali izhaar-e-mohabbat ki hasrat ko khuda samjhe hum ne ye kahani bhi sau bar suna dali jine bhi nahin dete marne bhi nahin dete kya tum ne mohabbat ki har rasm utha dali jine mein na ab 'fani' marne mein shumar apna matam ki bisat us ne kya kah ke utha dali