jab sambhal kar qadam uThata hun

jab sambhal kar qadam uthata hun
koi thokar zarur khata hun

aap se jab nazar milata hun
kaun hun kya hun bhul jata hun

mujh pe ai rang dalne walo
main to rangon ka janmdata hun

waqt hai mubtala-e-khwab-e-adam
thokaren mar kar jagata hun

zehn aisa hai kuchh paraganda
yaad karta hun bhul jata hun

dhundhte phir rahe hain donon jahan
dekhiye kis ke hath aata hun

ab nahin hai karahne ki sakat
chot khata hun muskuraata hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close