jin ke gunah meri nazar se nihan nahin rahte hain mujh se dil mein khafa kis qadar wo log manzil jinhen aziz na rah-raw jinhen aziz kahlate hain hamare yahan rahbar wo log anjam-e-karwan tha isi baat se ayan manzil thi jin ki aur bane ham-safar wo log apna samajh saken na jinhen ghair kah saken milte hain har qadam pe sar-e-rah-guzar wo log tera kalam sun ke jo khamosh hain 'nazir' un ka gila na kah ki hain ahl-e-nazar wo log