jis ka inkar bhi inkar na samjha jae

jis ka inkar bhi inkar na samjha jae
hum se wo yar-e-tarah-dar na samjha jae

itni kawish bhi na kar meri asiri ke liye
tu kahin mera giraftar na samjha jae

ab jo thahri hai mulaqat to is shart ke sath
shauq ko dar-khur-e-izhaar na samjha jae

nala bulbul ka jo sunta hai to khil uthta hai gul
ishq ko muft ki begar na samjha jae

ishq ko shad kare gham ka muqaddar badle
husn ko itna bhi mukhtar na samjha jae

badh chala aaj bahut had se junun-e-gustakh
ab kahin us se sar-e-dar na samjha jae

dil ke lene se 'salim' us ko nahin hai inkar
lekin is tarah ki iqrar na samjha jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close