jo ho ek bar wo har bar ho aisa nahin hota hamesha ek hi se pyar ho aisa nahin hota har ek kashti ka apna tajraba hota hai dariya mein safar mein roz hi manjdhaar ho aisa nahin hota kahani mein to kirdaron ko jo chahe bana dije haqiqat bhi kahani-kar ho aisa nahin hota kahin to koi hoga jis ko apni bhi zarurat ho har ek bazi mein dil ki haar ho aisa nahin hota sikha deti hain chalna thokaren bhi rahgiron ko koi rasta sada dushwar ho aisa nahin hota