sans ki aas nigahban hai KHabar-dar raho

sans ki aas nigahban hai khabar-dar raho
dil charagh-e-tah-e-daman hai khabar-dar raho

phir do aalam ke ujadne ki ghadi aa pahunchi
aaj phir husn pasheman hai khabar-dar raho

jada-e-shahr-e-tasawwur ki raha rishta-e-jaan
surat-e-gard-e-pareshan hai khabar-dar raho

phir kisi dil mein qayamat ne sukun dhundh liya
aaj phir wa dar-e-zindan hai khabar-dar raho

rang-o-khushbu ke tilismat mein khone walo
phul mein aag bhi pinhan hai khabar-dar raho

is qadar mahw na ho jao gham-e-duniya mein
saf aks-e-gham-e-jaanan hai khabar-dar raho

dil lagao na chaman se na chaman walon se
aakhir-e-kar bayaban hai khabar-dar raho

do ghadi ke liye mumkin hai koi phul khile
hasil-e-dasht-e-mughilan hai khabar-dar raho

'bu-ali' aabla-pa sar-ba-gareban hai yahan
maut is dard ka darman hai khabar-dar raho

dil ki hai matami-e-hasrat-e-tamir-e-azal
khud hi ghaarat-e-gar-e-saman hai khabar-dar raho

phir rag-o-pai mein utar aaenge suraj gal kar
aaj phir koi ghazal-khwan hai khabar-dar raho

ek ek harf ki aaega zaban par logo
girah-e-shoala-e-pechan hai khabar-dar raho

kab talak sooge ai kucha-e-jaanan walo
asar-e-jaur numayan hai khabar-dar raho

zikr mera ba-badi bhi na zaban par lao
ye bhi ek surat-e-darman hai khabar-dar raho

tur-e-sina ho ki lahore ki galiyan 'shohrat'
husn-e-har-rang gurezan hai khabar-dar raho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close