laraz jata hai thoDi der ko tar-e-nafas mera

laraz jata hai thodi der ko tar-e-nafas mera
sar-e-maidan kabhi jab jast karta hai faras mera

main khud se dur ho jata hun us se dur hone par
rihai chahta hun aur muqaddar hai qafas mera

zara mushkil se ab pahchanta hun in manazir ko
qayam us khak-dan par tha abhi pichhle baras mera

dua karta hun milne ki tamanna kar nahin pata
bhala kya samna kar paenge ahl-e-hawas mera

nahin bhulegi meri dastan-e-ishq-e-duniya ko
ki sahra mein abhi tak nam leti hai jaras mera

numud-e-aks ki is ko zamanat kaun de 'sajid'
nahin hai jab shaguft-e-aina par koi bas mera


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close