kabhi milte the wo hum se zamana yaad aata hai badal kar waza chhup kar shab ko aana yaad aata hai wo baaten bholi bholi aur wo shokhi naz o ghamza ki wo hans hans kar tera mujh ko rulana yaad aata hai gale mein dal kar banhen wo lab se lab mila dena phir apne hath se saghar pilana yaad aata hai badalna karwat aur takiya mere pahlu mein rakh dena wo sona aap aur mera jagana yaad aata hai wo sidhi ulti ek ek munh mein sau sau mujh ko kah jaana dam-e-bosa wo tera ruth jaana yaad aata hai tasalli ko dil-e-betab ki meri dam-e-rukhsat nai qasmen wo jhuti jhuti khana yaad aata hai wo rashk-e-ghair par ro ro ke hichki meri bandh jaana farebon se wo tera shak mitana yaad aata hai wo mera chaunk chaunk uthna sahar ke gham se aur tera laga kar apne sina se sulana yaad aata hai kabhi kuchh kah ke wo mujh ko rulana us sitamgar ka phir aankhen nichi kar ke muskurana yaad aata hai