milte hi khud ko aap se wabasta kah diya mahsus jo kiya wahi bar-jasta kah diya khurshid-e-subh-e-nau ko shikayat hai dosto kyun shab se hum ne subh ko paiwasta kah diya main chup hua to zakhm mere bolne lage sab kuchh zaban-e-haal se lab-basta kah diya chalta raha to dasht-nawardi ka tanz tha thahra zara to aap ne pa-basta kah diya dekhi gai na aap ki andoh-khatiri kante mile to un ko bhi gul-dasta kah diya dekha to ek aag ka dariya tha maujzan is dard-e-na-saza ne jise rasta kah diya mujrim the wo jo kar na sake irtikab-e-jurm mulzim hun main jo raaz tha sar-basta kah diya na-ashna-e-soz-e-darun kya samajh saken kyun khud ko hum ne aaj jigar-khasta kah diya