ziyan gar kuchh hua to utna jitna sud hota hai yahi jo hast hai is pal yahi to bud hota hai teri maujudgi mahdud karti hai tujhe tujh tak tu na-maujud hone hi pe la-mahdud hota hai jise dekho ba-zoam-e-khud hai theke-dar jannat ka kahin ik-adh hi mujh sa koi mardud hota hai sabhi gup-chup taka karna but-e-be-his bana rahna khuda tujh hi sa kya sach-much mere mabud hota hai wo pyasa tarsa barson ka tha aur main ru-ba-ru us ke bas ek chingari ho to phir kahan barud hota hai to pal bhar mein nadarat gum sabhi duniya jahan aalam main us se aur wo mujh se jab badan-alud hota hai