kah gaya tha wo kuchh ishaare se baat samjhaen hanste tare se us se milte hi aankh bhar aai lahar ek aa lagi kinare se galiyan ab wo kyun nahin dete kya khata ho gai hamare se kis ko ja kar bataun main ye baat din guzarta nahin guzare se bhul jate ho nam tak mera kya tawaqqo rakhun tumhaare se