udasi ke daldal mein girta hua dil bachaun main kaise ye marta hua dil main us ki mohabbat mein labrez dariya wo mujh mein utar ke ubharta hua dil sitare khala se abhi tod laun magar aasman se ye darta hua dil kabhi tum ne dekha hai bolo batao kisi aaine mein sanwarta hua dil ayan us ki aankhon ki shaffafiyat mein dhule paniyon sa nikharta hua dil atakta sambhalta sambhal ke thaharta kathin raston se guzarta hua dil jatan lakh kar lo na aaega qabu hai ek mauj-e-sarkash bipharta hua dil