mera khulus-e-mohabbat bhi kaamran na hua wo zulm dhata raha mujh pe mehrban na hua jabin-e-ishq jhuki hai na jhuk sakegi kabhi bara-e-sajda agar tera aastan na hua hai baat kya jo abhi tak khile na lala-o-gul khizan ke baad bhi shadab gulistan na hua teri hansi pe luta dete chand taron ko hamare zer-e-asar aaj aasman na hua wo aae mere tasawwur mein shukriya un ka zahe-nasib mera jazb raegan na hua kisi ke ishq ne wo hausla diya mujh ko koi bhi gham mere dil par kabhi garan na hua wo aashiyana ho gulshan ho ya qafas 'kashfi' sitam zamane mein hum par kahan kahan na hua