kaise guzar sakenge zamane bahaar ke chup ho gaya hun mausam-e-gul ko pukar ke ya meri zindagi mein ujala kare koi ya phenk de kahin ye sitare utar ke jholi mein gul to kya koi kanta hi dal do mayus to na ho koi daman pasar ke dil par bhi aao ek nazar dalte chalen shayad chhupe hue hon yahin din bahaar ke aankhon mein aansuon ki tarah tairne lage bhige hue khayal lab-e-ju-e-bar ke dahki hui fazaon mein jaen kahan tuyur sae bhi jab ghane na rahen shakh-sar ke 'shahzad' kis zamin ko main apna watan kahun aawargan-e-ishq hue kis dayar ke