KHamoshi mein chhupe lafzon ke huliye yaad aaenge

khamoshi mein chhupe lafzon ke huliye yaad aaenge
teri aankhon ke be-awaz lahje yaad aaenge

tasawwur thokaren khate hue qadmon se uljhega
ubharti dubti manzil ke raste yaad aaenge

mujhe malum hai dam tod degi aagahi meri
jo lamhe bhulne ke hain wo lamhe yaad aaenge

kabhi apne akele-pan ke bare mein jo sochoge
tumhein tute hue kuchh khas rishte yaad aaenge

kuchh aisa ho ki taswiron mein jal jae tasawwur bhi
mohabbat yaad aaegi to shikwe yaad aaenge

jo tera jism chhu kar meri sanson mein samate the
har aahat par wahi khushbu ke jhonke yaad aaenge

bhale auraq-e-mazi chat jae waqt ki dimak
jo qisse yaad aane hain wo qisse yaad aaenge

jahan tum se bichhadne ka sabab aankhen bhigoenge
wahin apni mohabbat ke wasile yaad aaenge

'salim' aakhir gae waqton ki qabren khodiye kyun-kar
dil-e-masum ko apne khilaune yaad aaenge


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close