KHubiyon KHamiyon achchhi buri aadat samet

khubiyon khamiyon achchhi buri aadat samet
bol manzur hun main sare tazadat samet

jhank sakte ho agar nind ki wadi se pare
dekh sakte ho mujhe khwab-o-khayalat samet

budhe bargad ke jhuke shane batate hain mujhe
us ne dhoya hai kahani ko riwayat samet

ped ka saya nahin phal bhi zarurat hai meri
dil bhi darkar hai tera mujhe din raat samet

jitni duniyaon ko tum dhund rahe ho bahar
mere kamre mein hain band arz-o-samawat samet

shahr walon ko parakhna koi mushkil to nahin
baaton baaton hi mein khul jate hain auqat samet

us ke chhute hi badan aise chamak uthta hai
jaise jal utthe koi shahr mazafat samet


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close